Friday, December 26, 2008
Yeh Watan Tumhara Hai
Ye Watan Tumhara Hai
Ye watan tumhara hai,
Tum ho pasban is ke,
Ye chaman tumhara hai,
Tum ho naghma-khuaaN is ke.
Ye watan tumhara hai,
Tum ho pasban is ke.
Iss chaman ke phoolon par,
Rang -o- aab tum se hai,
Iss zameen ka har zarrra,
Aftab tum se hai,
Ye fiza tumharee hai,
behr-o-bar tumharey hain,
kehkeshan ke ye jaley,
rehguzar tumharey hain.
ye watan tumhara hai,
tum ho pasban is ke.
Iss zameen kee mitti main,
khoon hai shaheedon ka,
arz-e-pak markaz hai,
qaum kee umeedon ka,
nazam-o-zabt ko apna,
meer-e- karwan jano,
waqt ke andhron mein,
apna aap pehchanno.
ye watan tumhara hai,
tum ho pasban is ke.
ye zameen muqaddas hai,
maan ke pyar kee soorat,
iss chaman mein tum sab ho,
barg-o-bar kee soorat,
dekhna gawana mut,
dolat-e-yaqeen logon,
ye watan amanat hai,
aur tum ameN logon.
ye watan tumhara hai,
tum ho pasban is ke.
meer-e-karwan ham thay,
rooh-e-karwan tum ho,
ham to sirf unwaN thay,
asl dastan tum ho,
nafraton ke darwazey
khud pe band hee rakhna,
iss watan ke parcham ko,
sar baland hee rakhna,
ye watan tumhara hai,
tum ho pasban is ke
ye chaman tumhara hai,
tum ho naghma-khwan is ke
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
great work keep it up
Post a Comment